har yaad mein aap kii yaad raheti hai
in aankhon ko aap kii he talash raheti hai
kuch app bhi dua karo mere liyeh
suna hai ke apno kii dua mein farishte bhi faryad karte hain.
---
mujh ko bhool jane ka irada na kia karo
yaadon ka gila shikwa na ki karo
kya bataon tumhein kitna yaad karte hain hum
hisab lagana ho to apnisaansein gin liya karo.
---
is dill ko teri chaht kii ass raheti hai
in nazron ko teri surat kii pyas raheti hai
mere pass kisi cheez kii kami to nahin
bas tere bagair yeh zindagi udass raheti hai.
---
phool do baar nahin khilte
janam kabhi 2 baar nahin mil te
yun milne ko to mill jate hain hazaron
magar dill se chahane wale dost baar baar nahin milte.
---
waqt badal jaate hian zindagi ke saath
zindagi badalte hain rishton ke saath
rishte nahin badalte apno ke saath
bas nibhane wale badal jate hain waqt ke saath.
---
zaqm jab mere seene ke baher aa jayenge
aansu bhi moti ban kar bikhar jayenge.
yeh na poocho kis kis ne dhoka diya hai
warna kcuh apno ke chahere bhi uttar jayenge.
---
jo teri nazar se guzar jaya karte hain
wo sitare aakar toot jaya karte hain
kuch log dard ko bayan nahin karte
bas chup chap bikhar jaya karte hain.
---
itna kuch khoya hai hume paana na aaya
pyar kya to jatana nahin aaya
dill mein bas gayi paheli he nazar mein tum
kasur hamara tha jo nazre jhukana nahin aaya.
---
mar ke bhi ab wada hum na todenge.
ek duje ka sath kabhi na chodenge
apna to sadiyon janmo ka naata hai,
jaan se jaan ko kaun juda kar pata hai.
---
koi juda ho gaya koi khafa ho gaya
jane zindagi mein hum se kya gunah ho gaya
bahut sajde kiyeh jis ko paane ke liyeh
jis ko paana tha whi hum se root gaya.
---
meri halat tum samjh nahin paate
hum bhi tum se kuch kahe nahin paate
aye quda yeh kaisa dost de diya tune
jis ko yaad kiyeh bina hum rahe na paate.
---
waada hai tum ko nahin satayenge
dil na kabhi aap ka dukhayenge
jab tak hain saath jhel lo
jab mar jayenge sach mein khayalon mein bhi nahin aayenge.
---
maana ke hum bahut bure hain
magar yaad dill se karte hain
hamare bhul kii wajah se naraz na hona
kyun ke hum bhulte upar se hainaur yaad dill se karte hain.