Friday, 11 October 2013

Abi Umeed Baaqi Hai K Wo Bichra Howa Sathi..!

Abi Umeed Baaqi Hai K
Wo Bichra Howa Sathi..!

Kisi Bhi Moor Pe Mill Kr
Hamain Hairaan Kr Day
Ga..!!

Eid Mubarak

Jan-e-Jaan Eid Mubarak - Eid Poetry, Eid Sms In Urdu, Eid Poetry Nazam, Eid Mubarak, Eid Urdu Shayari, Eid, Chand Raat Mubarak, Eid Mubarak Poems



Tumhari khamoshi ka sabab
Janta hoon main
Rothe hoey ho tum
Manta hoon main
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
Tum mujhe manao
Per yunhi dino ka shumaar karte karte
Tumhara intezaar karte karte
Calender ki taraf dekha
Tu khayal aaya
Ab ki bar main
Apni anna ko tor donga
Muhubat ki kahani ko
Naya aik mor doga
Shayad isi tor hojaey
Meri sari kutaiyoon ka tadraak
Lo aaj main tumhain kehta hoon
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak!!

Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,

Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,

Main dair se jaon wo Mera intzar kre.

Apne hathon se Sanwarun zlfein uski,

Wo shrma kr Mohabbat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,

Or josh-o-janun men Mohabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,

K bheegi zulfon se Mujhe bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun Wasi,

Wo roke or ik raat ka israr kre,

"Qasam khuda ki Main kisi or ki ho nhi sakti",

Ye wada-e-wafa wo bar bar kre."

Shahzeb khan. May Allah grant you the highest place in Jannat. Love you

Shahzeb Khan was a very important part of our family.
He was shot dead on the night of 25th December by
some drunk men. This innocent boy had to lose his
life for no reason. He had not picked a fight, he had
not caused trouble. He was only on his way back from
 his eldest sister's Valima. Shahzeb Khan is a Shaheed.
 Not only was he our brother but our hero. This boy never
 disappointed us. He never gave up, or let his family down.
 We all loved him so dearly. And seeing him just moments 
before, smiling at his sister's wedding and loosing him
 moments later really broke us. It unimaginable and still
 so surreal to us that this vital member of our family has
 left us. Who gave them the right to kill such an amazing
 brother, son, friend? no body. But they did it anyway, and
 also got away with it, hiding somewhere now. Our family is
 so shattered by Shahzeb's loss that healing from this seems
 unreachable. Knowing Shahzeb since he was born has been
 an honor to us. This beautiful bratty boy was nothing short of
 a gem. He was adorable. And so so brave. He wouldn't let anybody
 hurt those he loved. He was really scared of no one. Shahzeb was 
followed by these men and shot twice after which his car toppled over.
 All of this was a matter of minutes. Minutes after his sister's valima, 
minutes of confusion, of struggle, of courage, of pain and then a lifetime
 of loss. Shahzeb humara bacha, humara bhai,, jaan ho tum! When your
 body was brought in, your face, and everything, is just cemented in our
 memories. I don't believe whatever had happened beacuse its just been
 a day since I last saw you and hugged you. May Allah grant you the highest
 place in Jannat. Love you.


Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,

Ek Aarzoo hai puri parwardigar kare,

Main dair se jaon wo Mera intzar kre.

Apne hathon se Sanwarun zlfein uski,

Wo shrma kr Mohabbat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,

Or josh-o-janun men Mohabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,

K bheegi zulfon se Mujhe bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun Wasi,

Wo roke or ik raat ka israr kre,

"Qasam khuda ki Main kisi or ki ho nhi sakti",

Ye wada-e-wafa wo bar bar kre."

Ab Tak Wahan Utartey Hain Khushbuo’n k Qaafley



Ab Tak Wahan Utartey Hain Khushbuo'n k Qaafley

Bhoolay Sy Likh Dia Tha Tera Naam Jis Jaga

Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti Hain

Wafaa k Qaid Khano Mein Sazayen kab Badalti HainBadalta Dil ka Mosam Hai Hawayen kab badalti Hain
Libada Aurrh kr Gham ka Nikal jate Hain Sehra ko
Jawab Aye k Na Aye Aadayen kab Badalti Hain
Koi pa kr Nibhata Hai Koi kho kr Nibhata Hai
Naye Andaaz Hote Hain Wafayen Kab Badalti Hain !!

Agar wo pyaar kar laiti

Agar wo pyaar kar laiti

Mera daaman pakar laiti

To jeevan main faqat us say Mohabbat farz ho jaati

Mohabbat qarz ho jaati

Magar Acha kiya us nay Mujhe samjha kay chal nikli

Mujhe thukra kay chal nikli

Bohat Nadaan si hai wo Abhi anjaan si hai wo

Kahan ma'loom hai us ko Mohabat zindagi main bus Faqat ik baar milti
hai

Agar thukra kay chal niklain To umrain beet jaati hain

Mohabbat ki tamanna me Har aik rastay pay Sirf ruswaaii milti hai

Faqat tanhaai milti hai

Koi Mujhko Mera bharpoor saraapa la dey

Koi Mujhko Mera bharpoor saraapa la deyMere baazoo Meri aankhen Mera chehra la dey
Aisa dariya jo kisi aur Samandar mai girey
Is se behter hai k Mujh ko Mera sehra la dey
Kuch nahi chahiye Tujh se Meri ae umr-e-rawan
Mera bachpan Mere jugnoo Meri guria la dey
Jiski aankhen Mujhe ander se bhi parh sakti hon
Koi chehra to Mere sheher mai aisa la dey
Kishti-e-jaan to bhanwar mai hai kai barson se
Ae Khuda ab to dubo dey ya kinara la dey

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi

Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi

WAFA HAI ZAAT AURAT KI

Magar Jo Mard Hote Hain Bohat Be-Dard Hote Hain

Kisi Bhanwre Ki Soorat Gul Ki Khushbu Loot Lete Hain

Suno Tum Ko Qasam Meri ! Riwaayat Tor Dena Tum
Na Tanha Chhor Dena Tum
Na Ye Dil Tor Ke Jaana

Magar Phir Yun Hua Hamdam

Mujhe Anjaan Raste Par Akela Chhor Kar UsNe

Mera Dil Tor Kar UsNe

Muhabbat Chhor Di UsNe

"WAFA HAI ZAAT AURAT KI Riwaayat Tor Di UsNe

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya kary

Mujhko ruswa sarr e mehfil to na kerwaya karykaash aansu Meri aankh mai hi reh jaya kery
Ae hawa mane to bs uska pta pucha tha
Ab kahani to na hr baat ki bn jaya kery
Bus boht dekh liye khawab suhaany din k
Ab wo baton ki rafaqat se na behlaya kary
Ik Museebat to nahi tooti hai so is dil par
Jis qayamat ne guzrna hai guzar jaya kary
Jis k khawabon ko mai aankhon mai saja ker rakhun
Uski khushbu kbhi Mujhko bhi to mehkaya kary

MAHABBAT Bhi "AJEEB" Cheez Banai Hy Tu Ny,,

MAHABBAT Bhi "AJEEB" Cheez Banai Hy Tu Ny,,<*AY~KHUDA*>
Teri Hi "MASJID" Men,
Tery Hi "BANDAY"
Tery Hi "SAMNAY"
"ROTAY" Hen Kisi Or K Liye.!!

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai

Mohhabat Ka ghum hota bohut Hai,K ab Ye Lafz Bhi Ruswa bohut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kiya Bataon.
Gali Kochon Mein Sannata bohut Hai,
Na Milne Ki qasam Kha K Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bohut Hai,
Ye Aankhein Aur Kiya Dekhein Kisi Ko,
In Aankhon Ne Tujhe Dekha bohut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hein Aanso,
Abhi Shayid Mujhe Rona bohut hai,
Tujhe Maloom To hoga Mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bohut hai.!!!

Hansi Aati Hai Mujhy Hasrat-E-Insan Par,

Hansi Aati Hai Mujhy Hasrat-E-Insan Par,Gunah Karta hai khud, Laanat Bhejta Hai Shetaan Par..
(Allama Iqbal)

"Nazuk" Mizaaj Hai Wo Itna

"Nazuk" Mizaaj Hai Wo Itna K Kuch Na Pocho
"WASI""Suna" Hai Usay Neend Nahi Ati Apni Dharknon K Shor Se..

Shaayad koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De.

Shaayad koi Taraash Kar Kismat Sanwaar De.....!Ye Soch Kar mein Umar Bhar Pathr Bana Raha....!

Chalo phir dhoond laayen hum, usi masoom bachpan ko,

Chalo phir dhoond laayen hum,
usi masoom bachpan ko,Unhi masoom khushion ko,
Unhi rangeen lamhon ko,
Jahan gham ka pata na tha,
Jahn dukh ki samajh na thi,
Jahan bs muskurahat thi,
Baharen hi baharen theen,
Chalo phr dhoond layen hum,
Usi masoom bachpan ko,
K jb saawan barasta tha,
To us kaaghaz ki kashti ko,
Banana aur dubo dena,
Boht acha sa lgta tha,
Aur is duniya ka hr chehra,
Boht sacha sa lgta tha,
Chalo phir dhoond layen hm,
usi masoom bchpan ko..

Judai Sy Marra wo b Nahi Mein b Nahi.

Judai Sy Marra
wo b Nahi Mein b Nahi."Dono Insan hain
KHUDA wo b Nahi Mein b Nahi.
wo Mujhe, Aur Mein ossay Ilzam daitay hein Magar,
Apne Ã…ndar Jhankta wo b Nahi Mein b Nahi.
ZÃ…Maney Ny Kar dia dono Mein Paida Ikhtlaaf,
Warna Fitrat Ka ßura wo b Nahi Mein b Nahi.
Mukhtalif SiMto Mein dono Ka SÃ…far Jari Raha,
Ek LaMhey Ko Ruka wo b Nahi Mein b Nahi.
"Chahtey dono ßohat hain Ek dosray ko Mgar,
Yeh Haqiqat Manta wo b Nahi Mein b Nahi..

Tu hi haqeeqat khwaab Tu. Dariya Tu hi pyaas Tu.

Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu.
Tu hi dil ki bekarari. Tu sukoon Tu sukoon.
Jaoon Main ab jab jis jagah.
Paoon Main Tujh ko uss jagah.Saath ho k na ho.
Tu hai Rubaroo Tu hai Rubaroo.
Humsafar Tu Humkadam Tu Humnawah Mera Tu..
Humnawah Mera Aa Tujhe in baahon mein bhar k Aur bhi kar loon main kareeb.
Tu juda ho to lage hai Aata jaata har pal ajeeb.
Iss jahaan mein hai aur na hoga Mujhsa koi bhi khush Naseeb.
Tune Mujhko dil diya hai Main hoon Tere sabse kareeb.
Main hi Tere dil mein hoon.
Main hi Saanson mein basoon.
Tere dil ki dhadkanon me Main hi hoon.
Main hi hoon.
Kab bhala ab ye waqt guzre Kuch pata chalta hi nahi.
Jabse Mujhko Tu Mila hai Hosh kuch bhi apna nahi.
Uff ye Teri palken ghani si Chaanv inki hai dilnasheen.
Ab kise dar dhoop ka hai Kyun ki hain ye Mujh pe bicchi.
Tere bina na saans loon.
Tere bina na Main jiyun.
Tere bina na ek pal bhi Reh sakoon.
Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu.

Na Wo Din Rahe, Na Wo Mehflen,

Na Wo Din Rahe,
Na Wo Mehflen,
Na Wo Jaan Se Azeez Log...!Waqt Cheen K Le Gaya Mujh Se Mere Apne Kahan Kahan...!

Asar dil per karay shikwa, shikayat ho to aisi ho.!

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!
yehi Mehsus ho jaisay kai sadiyan guzari hain.
faqat ek pal ki furqat mein, Aziat ho to aisi ho..!!
Mujhe kanta chubhay aur us ki Aankhon se lahu tapke,
Talluq ho to aisa ho, MUHABAT ho to aisi ho.

2 Chiryo Ki Love Story

1 Din Chira Bola: Mjhe Chor Kr Kbhi Tum Urh To Nhi Jaogi?
Chirya: Urh Jaun Tu Pakar Lena
Chira: Main Tmhy Pakr Skta Hn Magr Phr Pa Nhi Skta
Chirya Ki Aankho Mai Aansu Agaye,Usny Apny Pankh Tor Dye Or Boli:Ab Hm Hmesha Sath Rahngy.
1 Din B0ht Zor Sy Tofan Aya,Chira Urhny Laga Tbhi Chirya Boli: Tm Urh Jao,Main Nhi Urh Sakti. Chira Apna Khyal Rkhna Kh Kr Urh Gaya Jb Tofan Thama Or Chira Waps Aya Tu Usny Dekha K Chirya Mar Chuki Thi Or Ek Daali Per Likha Tha Kash Wo 1 Bar Tu Kehta K Main Tmhy Nhi Chor Skta To Shayd Main Tofan Any Sy Pehly Nhi Marti...

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum- e-tanhai ho.

Kuch to Ae yaar elaj-e-ghum- e-tanhai ho..Baat itni b na brr jaye k ruswai ho.
Jis ne b mujhko tamasha sa bana rakha hy.
Ab zarori hy wohi aankh tamashai ho.
Dobne wale to aankho se b kub nikle hain.
Dobne k liye lazim nahi,gehrai ho.
Main tujhe jeet b tohfey me nahi de sakta.
Chahta ye b nahi hon teri paspai ho.
Koi anjan na ho shehr-e- mohabat ka makeen.
KASH har dil ki har ik dil se shanasai ho.
Yon guzar jata hai Mohsin Tere koche se wo.
Tera wakif na ho jese koi SODAI ho..!

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana

Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian GiranaJitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana
Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana
Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana
Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana
Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.

Sono Aesa nahi karte.


Sono Aesa nahi karte.jis dil me rehte ho. ouse tora nahi karte
bina jis k na ji payen! ouse chora nahi karte.
SONO kuch der rok jao koi tadbir karlenge.
jo sare kohab dehken hen inhen tabir karlen ge.
bina Tere ye jivan Hum kaho kese bitayen ge.
kasam se Tot jaiyen ge.
SONO jab yaad aaou ge bohat kuhd ko rolaiyen ge.
Tumhe kese bholayen ge.
SONO jab dard hoga to Tarap kar Mar hi jaiyen ge !
TUM KO NA BOHL PAIYEN GE.

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko.

Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko.Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko.
Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hay Chain Kabhi.
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko.
Dukh To Yeh Hay K Zamanay Main Milay Ghair Sabhi.
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko.
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko.
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko.
Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi.
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko.
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha.
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko.
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi.
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko.
Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guzare Lamhay.
Yaad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh ko

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,

Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
Daikh Kar Pooch Liyaa haal Mera,
Chalo Kuch to Khayaal Kartay ho..
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi.
Ye Bhe Mujh say Sawaal Kartay ho.
Marna Chaahain to Mar nahe Saktay,
Tum Bhe Jeenaa Muhaal Kartay ho..
ab Kis Kis Ki misaal Doon Tum Ko.
her Sitam Bay-misaal Kartay ho . . .

Koi aisa b to howa kry

Koi aisa b to howa kry,
Meri dharkanon ko suna kry,
Main yeh zindagi us pe war doon,
Jo khloos-e-dil se wafa kary,
Mere karb ko wo smjh sake,
Mere dard ki wo dawa kry,
Mujhe us k ishq pe naaz ho,
Wo talab me meri raha kry,
Meri LAAJ uska GHUROOR ho,
Meri aabroo ka difa kry,
Karhy mosamon k azaab me,
wo bahaar bn k mila kry,
Jo zubaan meri khamosh ho,
To jhank dil me lia kry,
Mera DUKH us ka b DARD ho,
Mere sath wo b jala kry..."Koi aisa b to hwa kry"

Youn tu kharidaar hain bohot mere dil k.

Youn tu kharidaar hain bohot mere dil ke."""-MOhsin-"
""Baich dete ager iss main Teri yaad na hoti.""...

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,

Main kaisay shikwa karon wo nadan hai bohut,udas kar k mujhe khud bhi paraishan hai bohut,
kehny ko wo mery kareeb hai bohat lekin,
faslay ab tak humaray darmiyan hain bohat,
wo naye zakhmo k nishan na dekh payeigy,
dil pay pichlay zakhmo k nishan hain bohat,
beach bhanwar say bhi nikal kar kia mila,
khamosh sahilo par tufan hain bohat,
main naa bhi chahoon to chali aati hai,
teri yadain mujh par meharban hain boht.

Mujhe Zabt_e_Gham Pe Ghuror Tha

Mujhe Zabt_e_Gham Pe Ghuror Tha Sar_e_Bazam Aaj Ye Kia Hua.?
.
Meri Ankh Kese Chalak Pari
.
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
.
Mujhe Ap Kyon Na Samjh Sakay Ye Apne Dil Se Puchiay
.
Meri Dastan_e_Hayyat Ka
.
Hai Warq Warq Khula Hua
.
Mujhe Hamsafar B Mila Koi
.
To Meri Tarah Hi Luta Hua
.
Kabi Manzilo'n Se Hata Hua
.
Kbi Qafilo'n Se Luta Hua
.
Mje Ik Gali Mein Para Hua Kisi Badnseeb Ka Khat Mila
.
Kahin Khoon_e_Dil Se Likha Hua Kahin Ansuo'n Se Mita Hua.

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.

Is shehr e sitamgar main wafa dhoond rahy hain.Nadaan hain hum bhi kay ye kya dhoond rahy hain.
Hum log muqadar kay sikandar to nahi hain.
Kiya soch ke phir aab-e-baqa dhoond rahy hain.
Khamosh fizaaon main ye bechain parindy,
Is habs ke mosam main hawa dhoond rahy hain.
Jo Dil se nikalty hei tere Qalb ko chhu lay,
Hum log wohi harf e Dua dhoond rahy hain.
Ek shakhs nay manga tha kabi hum ko Dua me,
Us shakhs ko ab tak Ba-Khuda dhoond rahy hain.

Phoolon se to Wafa mil na saki aao kanton se Dosti kar lain.

Phoolon se to Wafa mil na saki aao kanton se Dosti kar lain."Dost"
Suna hai k ye Daman pakar lain to phir itni asani se chora nahi karte...

Zaat ban k meri zaat main raha krta hai!

Zaat ban k meri zaat main raha krta hai!Ik shaks hai jo muj main basa krta hai!
Mere chehre main nazar aata hai chehra uska
Uska tabassum mere honton pe khila krta hai!
Mere lafzon se aada hoti hain batain uski,
Mere lehje sy garoor uska chalka krta hai!
Meri neendon pe hai barson sy hakumat uski,
Khuwaab ban k wo meri palkon pe saja krta hai!
Is had tak meri hasti main mojood hai wo shaks,
Mere har naqsh main "WASI"akks uska mila krta hai.

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo kartaPhir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta
Yak tarfa takazay to nibaye nahi jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,
ilzamm lagata wo bare shok se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,
Kuch us ko bi ehsas Meri Tanhai ka hota,
Kuch khuwab mere pyar se takmeel wo karta.

Kuch is tarha Me Apni Zindagi Tamam kar dun

Kuch is tarha Me Apni Zindagi Tamam kar dunWaqt-e- Sehar tujko Dekhon Or Shaam kar dun
Khuwab me b koi ap k Siwa Dikhai na de
Umar bhar k liye Aankhon ko ap ka Ghulam kar dun
Ap k Pehlo ki Khushbu se Mehken Sada Meri Sansen
Or Jitni hen Meri Sansen sab ap k Naam kar dun...

Khushk Honton Se Hua Krti Hen Meethi Baatain

Khushk Honton Se Hua Krti Hen Meethi Baatain

"Mohsin"

Pyaas Bujh Jaye Tu Lehjey bhi Badal Jaty Hein…!

Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta...

Na ho udas Mohsin tujh se agr nhi milta...
Yahan kisi se koi umer bher nhi milta~

Hua hai sheher veeran tujh ko to khabar hogi~

Bohat dino se mujhay apna hi ghar nahi milta~

Her ek morr pe miltay hain,
hazaron dost~

Main dhundta hon jisay wo magar nahi milta.

Kisi Ko Neend Aati Hai Mgr Khawbon Se Nafrat Hai

Kisi Ko Neend Aati Hai Mgr Khawbon Se Nafrat HaiKisi Ko Khawb Piyare Hain Mgr Wo So Nahi Sakta.

Talash kar mer¡ kam¡ k0 apne d¡l me¡n

Talash kar mer¡ kam¡ k0 apne d¡l me¡n

"DostDard h0 t0 smajh lena k m0habbat ab Bh¡ bak¡ ha¡

TOOT sa gaya hai meri Chahaton ka wajood"

TOOT sa gaya hai meri Chahaton ka wajood""Mohsin"
"Ab koi Acha bhi Lagay to Men Izhar nhi krta."

Kon Kehta Hy k Nafreton Main Dard Hy

Kon Kehta Hy k Nafreton Main Dard Hy"sahil"
Kuch Mohabbtain B Barri Aziyet Naak Hoti Hain.

Kuch tum se mohabat aisi thi.

Kuch tum se mohabat aisi thi.
Hum batein karna bhool gaye!Kuch or hi hum ne keh dala.
Jo kehna tha wo bhool gaye!
Hum ne to kaha tha lout aana.
Par tum to aana bhool gaye!
Huwi Rat, falak par tary thy.
Hum diya jalana bhool gaye!
Mein sahil par betha hi raha.
Tum kashti lana bhool gaye!
Ab kaisa gila main tum se karon.
Jab naseeb hi mujh ko bhool gaye!
Hum tum se khafa bethy hi rhe.
Tum hum ko mana'na bhool gaye..!.

Be khwab zndgi ka Paristar kn tha ?

Be khwab zndgi ka Paristar kn tha ?
Itni udas raat main Bedaar kn tha ?

Ks ko ye fikr thi K mohabbat me kya hwa?

Hum is py larr rhy thy
... wafadaar kon tha ?

100 kashtiyan jala k Chaly sahilon sy hm !

Ab tm ko kya btayein K us paar kon tha ?

Ye faisla tu Waqt b Shayd na kr ske !

Such kon bolta tha,Adakar kon tha ?

Qasoor War Usse Kiyun Samjhein,


Qasoor War Usse Kiyun Samjhein, Ghalti Toh Apni Hai."U$M@N"
Zindagi La Parwahon Ko Sonp Di, Aur Mohabbat Bhi Maghroron Se Ker Bethey.

Sari RAAT 'Takleef' Deta Raha Yehi Ek Sawal Humein"

Sari RAAT 'Takleef' Deta Raha Yehi Ek Sawal Humein"

="wasi"=="Wafa Karnay Walay Humesha 'Akelay' Kyun Reh Jatay Hain.

Usy kehna december k palat any ki khushion main

Usy kehna december k palat any ki khushion mainHmain b yad rakhna tm,K hm b is december ki sunehri yad-e-mazi ka
Aik chota sa hisa hain
Wo pal jo sth main guzray, hm un lamhon ka qisa hain
So ab k bar to hm sth main tere nhi hun gy,
Magar barish ki rim jim main, unhi sunsaan galyun main
kbi niklo jo tm ghr sy
hmain tm yad kr lena,
Hmain tm bhool mat jana.

Mein aksar shaam k manzar se larazta is liye bhi hon,

Mein aksar shaam k manzar se larazta is liye bhi hon,ufaq pe doobta suraj Mera anjaam lagta hai...