Thursday, 10 October 2013
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...
Dopehar Ke Garm Suraj Ki Taraf Dekho
Or Itni Der Tak Dekho ...?
Ke Binayi Pighal Jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...
Asman Se Toot'ti Andhi Ulajhti Bijliyon Se
Dosti Kar Lo
Or Itni Dosti Karlo
Ke Ghar Ka Ghar He Jal Jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...
Ek Anjaane Safar Main
Ek Ajnabi Ke Hamrah Door Tak Jao
Or Itni Door Tak Jao
Ke Woh Rasta Badal Jaye
TUMHEN KIS NE KAHA THA ...
Eid Mubarak
Tumhari khamoshi ka sabab
Janta hoon main
Rothe hoey ho tum
Manta hoon main
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
Tum mujhe manao
Per yunhi dino ka shumaar karte karte
Tumhara intezaar karte karte
Calender ki taraf dekha
Tu khayal aaya
Ab ki bar main
Apni anna ko tor donga
Muhubat ki kahani ko
Naya aik mor doga
Shayad isi tor hojaey
Meri sari kutaiyoon ka tadraak
Lo aaj main tumhain kehta hoon
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak!!
CHAND MERI KHERKI MEIN AYE
Chand Kabhi Tu Taron Ki Is Bheer Se Nikle
Aur Meri Kherki Mein Aye
Bilkul Tanha Aur Akela
Mein Us Ko Bahon Mein Bharlon
Aik Hi Sans Mein Sab Ki Sab Wo Baatein Karlon
Jo Mere, Talo Se Chemti
Dil Mein Semti Rehti Hain
Sab Kuch Aise Ho Jaye, Jab Hai Na!
Chand Meri Kherki Mein Aye, Tab Hai Na!
Aag Dil Me Lagi Jab Wo khafa Hue.
Subscribe to:
Posts (Atom)