Monday 14 October 2013

Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye



Kiya Kiya Dukh Dil Ne Paaye
Nanhi Si Khushi Ke Badle

Haan Kon Se Zakhm Na Khaaye
Thori Si Hansi Ke Badle

Zakhmon Ka Kon Shumaar Kare
Yaadon Ka Kaise Hisaar Kare

Aur Jeena Phir Se Azaab Kare
Us Waqt Ka Kon Hisaab Kare

Wo Waqt Jo Tujh Bin Beet Gaya !!!

Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya



Tu jo yaad aya tu buhat yaad aya
Teri ankhon mein muhabat ki jhalak yaad hai

Har taraf khouf hai viraan lagay zindagi
Wo jo ik dard hai teri ulfat ka mujhe yad hai

Tujh se door howa jo teri muhabat ki khartar
Kitna tarpa kitna roya mujhe yad hai

Lab ko cho kar Jo bahon mein bsaya tha tujhko
Teri aknkhon ki sharam dil mein kasak yad hai

Hathon mein le hath tera mujh se lipat jana
sharma ke muje dekhna aur nigah ka jhuk jana

Wo badal ka bras jana teri pehli mulaqat pe
Wo mujh ko lipat jana jatay howe lamhaat mein

Teri wafa teri jafa tera palat ke na ana
tujhe yaad ho na yaad ho muje yaad hai

Tot ke chaha tha per mein hi sitamgar nikla
Akhri lamhat ki har baat muje yaad hai

Haan nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar me



Haan nahi hai kuch bhi mere ikhtiyar me,

ye sach hai wo shaks mujhse bhulaya nahi geya.

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya



Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya..

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya..

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye.
Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya...

Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya..

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya.

Es Ghar ki Khulli Chat Pe Chamakte Howe taron



Es Ghar ki Khulli Chat Pe Chamakte Howe taron ...

Kehte Ho Kabhi Jaa Kay , Wahan Baat Yaha Ki ?

Zameen Se keh Do Apnay jhatke



Zameen Se keh Do Apnay jhatke
Sambhaal Kar Rakhey
                
Yahan Log Hi Kaafi Hain,
Zindgi Me Toofan Lanay k Liye...

Kitna Kuch Jaanta Hoga Wo Shaks



Kitna Kuch Jaanta Hoga Wo Shaks Mere Bare Mein.

Mere Muskuranay Par Bhi Jis Ne Pooch Liya K Tum Udaas Kyun Ho.

Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana..



Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana..
Takaan paon ki aur titliyon ke par lana..

Mein likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki..
Jo ho sake to koi harf e motabar lana..

Yahi na ho ke musalsal wafa thaka dale..
Mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana..
Safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se..
Dukho'n ki gard se daman na apna bhar lana..

Jo kohe qaaf chale ho to chand chehro'n ka..
Mujasma koi acha talash kar lana....

Kabhi jo mujh ko talash kerna



Kabhi jo mujh ko talash kerna
to chaand raaton ki chandni me,
Gul-e-chaman se sawal kerna,
Udaas kyun ho.?

Kyun auss k qatron me apne aansu chupa rahe ho.?
Haseen mosam me kiski yadon me apne dil ko jala rahe ho.?

Gul-e-chaman ye sawaal sun ker,
kahe ga tum jis ko khojtay ho,.

wo in baharon ki saari khushbu chura k ab ik
naye chaman me mehak raha hai,
Udas ker k yahan pe hum ko,
Kisi chaman me chehak raha hai,

Gul-e-chaman ka ye haal sun ker,
tumhein lage ga me BEWAFA hun,

Udaas kaliyon ko chor ker me,
Nayi baharon ko dhundta hun,

Main aaj bhi ik naye chaman me purany qissay suna raha hun,

Jo meri chahat ki apsra thi,
me aaj bhi us ko poojta hun,
Yaqeen nahi to palat k daikho,

WAHIN KHARA THA,
WAHIN KHARA HUN''

Koi majburiyan hongi, wafa jo kr nahi paya wo



Koi majburiyan hongi, wafa jo kr nahi paya wo.

.
.
Mere mehbob ko shamil na kro be'wfaon me.'

Ghar Bana Kay Mere Dil Main, Wo Chor Gaya..!



Ghar Bana Kay Mere Dil Main, Wo Chor Gaya.

Na Khud Rehta Hai, Na Kisi Or Ko Basnaye Daita Hai,

Tujhe baahon me bharne ko Dil chahta hai,



Tujhe baahon me bharne ko Dil chahta hai,
Tujhe toot kar chahne ko Dil chahta hai,

kash door ho jaye ye fasle darmiyan Hamare,
ki Tujhe jee bhar kar dekhne ko Dil chahta hai..

Main Khuda Ki Nazron Mein Bhi Gunah Ghaar Hoti Hon



Main Khuda Ki Nazron Mein Bhi Gunah Ghaar Hoti Hon ...


Jab Woh Shaks Mujhe Sajdon Mein Bhi Yaad Aata Hai ...

Tabdeeli Jab Bhi Aati Hai Mousam Ki Aadaoun Mein



Tabdeeli Jab Bhi Aati Hai Mousam Ki Aadaoun Mein..

Kisi Apny Ka Youn Badal Jana, Bohat Yaad Aata Hai.

Zamana Raat Din Hum Par Uthaye Ungliyan Lakin



Zamana Raat Din Hum Par Uthaye Ungliyan Lakin.

Hai Pakeeza Bohat Rishta Tumhara Bhi Hamara Bhi.

Mujhe Maloom Hai Tum Khush Ho



Mujhe Maloom Hai Tum Khush Ho Bohat
Is Judai Se..!!
.
.
.
Ab Khayal Rakhna Apna Tumein Tum
Jaisa Na Mil Jaye.....!

Her Kisi K Haath Mein Bik Jane Ko



Her Kisi K Haath Mein Bik Jane Ko Tayaar Nahi hun.

Yeh Mera Dil Hai Tere Shehar Ka Akhbaar Nahi.

Ek Tujh Ko Na Jeet Sake Hum Tujh Se



Ek Tujh Ko Na Jeet Sake  Hum  Tujh Se....              


Umar Beet Gai Khud Ko Jawaari Kehte Kehte..

Bana k banjar ye dil ki bsti ujaar jaty hain soch lena.



Bana k banjar ye dil ki bsti ujaar jaty hain soch lena.
Mohabton mein to aisy aisy selab aty hain soch lena.

Ye uljhi zulfen,ye lal ankhen,ye maily kpry,ye Zrd Chehra.
Hsaas Logon Ki Zindgi Mein Ye Baab Aty Hain S0ch Lena.

Aadha Din To Sulagty Sehra Ki Jalti Raiton Py Chal Liya kr.
K hijraton Mein To Is Se barh kr Azab atay Hain S0ch Lena.

Hijar ne Mere Tabah kia ha to chor do na ye pyar krna.
K Unki Janib Se is trah b Jwab Atay Hein Soch Lena.!

Sari raat kia intazar tera o be reham



Sari raat kia intazar tera o be reham,

Na hum soey na nend aai na tu aya..

Khoshiyon Ki Tarha Meri Har Sans Main



Khoshiyon Ki Tarha Meri Har Sans Main.
Pyar Apna Basany Ka Wa'da Karo.

Rang Jitny Tumhari Mohabbat K Hain.
Mery Dil Main Sajany Ka Wa'da Karo.

Hai Tumhari Wafaon Pay Mujh Ko Yaqen.
Phir B Dil Chahta Hai Mery Dil Nashen.

Yun Hi Meri Tasalli Ki Khatir Zara.
Mujh Ko Apna Banany Ka Wa'da Karo.

Sirf Lafzon Sy Iqrar Hota Nahi.
Ik Janib Sy Hi Pyar Hota Nahi.

Main Tumhain Yaad Rakhny Ki Khaon Kasam.
Tum Mujhe Na Bhulany Ka Wa'da Karo.....

Shehr-E-Mhbt Hijr Ka Mausm



Shehr-E-Mhbt Hijr Ka Mausm, Ehed-E-Wfa 0r Mai

Tu To Es Basti Sy Khush Khush Chla Gaya 0r Mai?

Tu Jo Na Ho To Jaisy Sb Ko Chup Lag Jati Hy

Apas Me Kia Baten Krty Rat Diya 0r Mai

Sair-E-Chamn Adat Thi Pehly Ab Majboori Hy

Teri Talash Me Chal Party Hn Bd-E-Sba 0r Mai

Jisko Dekho Teri Hawa Me Pagl Phirta Hy

Wrna Hm Mushrik To Nhi Thy Khalq-E-Khuda 0r Mai

ik To Wo Hmraz Mera Hy Phr Tera Maddah

Bs Tera Hi Zikr Kiya Krty Hn Hawa 0r Mai

ik Zmane Bd FARAZ Ye Sheir Kahy Mai ney

Ik Muddt Sy Mily Nhi Hn
Yaar Mera 0r Mai.

Wife; agar main pakistan ki sb sy bari choti K2 pr



Wife; agar main pakistan ki sb sy bari choti K2 pr charhny main kamyab ho jaon,
to ap mujhy kia dain gy?
.
.
.

 Husband : halka sa Dhakaaaa ;-)

Mayaar Grta Na doston ka



Mayaar Grta Na doston ka
na hm bhi Dushman ki dhaal hoty,
.
Zaeef dushmn py War krty,
to Waqt k hm Djaal hoty,
.
Nahin tha Apna Mizaaj aisa,
k Zrf kho kr Anaa bchaty,
.
Wrna Aisay Jwab dety,
k phr na paida Sawaal hoty,
.
Humari Fitrat ko janta hai,
Tabhi to Dushman ye keh Raha hai,
.
Hai dushmani Mein bhi Zarf Aisa,
jo dost Hoty kamaal hoty,
.
Jo Aa k Tum Haal puch Lety,
To Itni Lambi Na Umr lagti,
.
K Wasl ki ik Ghari Mein sary,
guzar gaye Maah-o-Saal hoty,
.
Ussy mubarik Maqaam Uncha,
Sahi Haqeeqat Humein pata hai,
.
Banaty Rishton ki hum bhi Seerhi,
to Asmaan ki Misaal hoty...

Ho balma, ho balma.



Ho balma, ho balma.

Fire brigade mangwa de tu.
Angaaron par hai armaan
Ho balma, ho balma.

Tera rasta dekh rahi hun.
Sigadi pe dil sek rahi hun.
Aa pardesi more balma.
Ho balma ho balma


Teri jawaani jalta sharara.
Aaya main aaya yeh jwala bujhane re.
Teri adaayein, aashiq banayein.
Aaya main aaya ye agan mitane re.

Fire brigade mangwa de tu
Angaaron par hai armaan
Oh balma, oh balma.

Tera rasta dekh raha hun
Sigadi pe dil sek raha hun
Aa pardesi more balma
Ho balma, ho balma...

Ye ishq ki aag hogi na kam.
Hum aur hum me ek atom bomb.
Barood ke jaisa apna milan.
Chhanni kare dil ko ye jalam.
Jaanam ek zalzala, tera ye tan-badan.
Aa bujha doon ye saari tapan.

Fire brigade mangwaade tu.
Angaaron par hai armaan.
Oh balma, oh balma..

Tera rasta dekh raha hun.
Sigadi pe dil sek raha hun.
Aa pardesi more balma
Oh balma, oh balma.

Click Here Watch Video Song Balma

Saahib koi apna nhi Apny Siwa.




Saahib koi apna nhi Apny Siwa....

Doosra doosra hi hota hy.....

Zawia jitna nigahøn ka sanwar jata hai.



Zawia jitna nigahøn ka sanwar jata hai.
Tera rukhsar bhi utna hi nikhar jata hai.

Aesay lamhat bhi aate hein rah_e_ulfat mein.
Ya wafa hath say jati hai Ya sar jata hai.

Main tere Gham main bhala ashk baha'øn kb tak.
Aankh tø Aankh hai darya bhi utar jata hai.

Hasti_e_Gul hai faqat chand adaa'øn Pe muheet.
Phøøl khilta hai, nikharta hai, bikhar jata hai.

Qurbat_e_Yaar say 'Møhsin' kø baqa milti hai.
zarf Parwanay ka, Chhøøta hai k mar jata hai...

Tu yaad kr ya bhool Ja,



Tu yaad kr ya bhool Ja,

Tu yaaad hy, ye yaad rakh......

Baat sajdo ki nahi khalos e dil ki hoti hai.



Baat sajdo ki nahi khalos e dil ki hoti hai.....,

 IQbal.

Har Mekhany me Sharaabi 0r har Masjid me Namazi nahi h0ta..

Chand Niklay Kisi Janib Teri Zaibai Ka.



Chand Niklay Kisi Janib Teri Zaibai Ka...

Rung Bdlay Kisi Surat Shb-E-Tanhai Ka...!

Milny Ki Us Ny Sharat Ye Rakhi Hai.



Milny Ki Us Ny Sharat Ye Rakhi Hai.

Kanton pe Chal k Aao Aur
LAHOO Bhi Na Nikly.

Baat chali teri baaton se



Baat  chali teri baaton  se aur ja pohanchi paimaanay tak,
Kheench rahi hai teri ulfat aaj mujhay maikhaanay tak.

Ishq ki baatein gham ki baatein dunia walay kartay hain,
kis ne shamma ka dukh dekha aur kon gya parwanay tak

Ishq nahi hai tum ko mujh se sirf bahanay kartay ho
yonhi bahanay qayem rakhna tum meray marr jaanay tak

Itna hi kehna hai tum se mumkin ho to a jana
aa jao to ruk jaana bus dil k sambhal janay tak.

Q SharmiNda Karte Ho



Q SharmiNda Karte Ho, Ye Rasmi BateN Poch Kar...!!
-
HaaL Hamara Wohi Hy Jo Tum Ne BaNa Rakha Hai...!!

Ghum k eHsAs ko palkon pe saja rehny do



Ghum k eHsAs ko palkon pe saja rehny do,
Koi gul to mery gulshan me khila rehny do,

Thokren hi to muqadr me hain ek pathr k,
Raasty me jo para hon to para rehny do,

Saya-e-zulf ki thandak to nahi mera naseeb,
Tum mujhy dard k sholoon me ghira rehny do,

Kis ghari koi chor k duniya chal diya,
Jeeny walon k liye lab pe dua rehny do,

Main mazar k darichy me saja ek pathar hon .
Mujh ko iss dour k insan se juda rhney do.

Barishon k mosam mn,



Barishon k mosam mn,
Waqt k andheron mn,
Men ny us sy pucha tha,
CHOR TO NA JAO Gy?

Hath tham kr us ny,
Kaan mn ye bola tha,
Kesy chor sakta hoon,

TUM TO JAAN HO MERI.


Aur aj aisa hai,

Wqt ki tamazat mn,
Wehshaton k mosam mein,

Main ny us sy pucha hy,

CHOR KR HI JANA THA?

To

Aas q dilai thi?
Pyaas q jagai thi?

Mery in sawalon pr,
Chalty chalty wo bola,
Mosmon ki aadat hy,


"WAQT PR BADAL JANA"

KABHI YOON BHI AA MERE RU-BARU



KABHI YOON BHI AA MERE RU-BARU,,,
TUJHE paas pa k main RO paroon,

Mujhe MANZIL-E-ISHQ pe ho YAQEEN,
Tujhe DHARKANON main SUNA karon,

kabhi SAJA loon TUJH ko in AANKHON main,
kabhi TASBIHON pe PARHA karon,

KABHI yoon bhi AA mere RU-BARU, ,,,
TUJHE PAAS PAA K MAIN RO PARON,,,

Kitni girhein kholi hai main ne.



Kitni girhein kholi hai main ne.
Kitne girhein ab baaki hain.

paon mein payal.
baho mein kangan.
gale mein hansli,
kamarband,challe aur bichuye,
naak kaan chidwaye gaye .
aur zewar zewar kehte kehte.
reet riwaaz ki rassiyo se mein jakri gayi.
kitni tarah mein pakri gai.

ab chhilne lage hain haath paao aur kitni kharashe ubhri hain.
kitni girhein kholi hai meine kitni rassiya utri hain.

Aang Aaang Mera roop rang.
mere naksh naine mere bol.

meri awaaz mein koyal ki taarif hoi.
meri zulf saap meri zulf raat.
zulfo me ghata mere laab gulab aankhein sharaab.
ghazalein aur nazmein kehte kehte.

main husn aur ishq k afsaano me jakri gayi
kitni tarah mein pakri gayi

Mein poonchoo zara Aakhon me sharab dikhi sab ko.
Aakaash nahi dekha koi.

sawan bhado to dikhe magar.
kya dard nahi dekha koi..?

phan ki jhili si chadar me but chile gaye uryani k.
taga taga kaarke poshaaq utari gaayi

mere jism pe fan ki mushq hoi.
aur aap panha kehte kehte sange marmar pe jakri gay.

batlaye koi...
batlaye koi kitni girhein kholi hai maine.
kiti girhein aab baaki hain.

Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho



Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho

Bedar-O-Deewar Saa Ik Ghar Banaya Chahiye
Koi Hamsaaya Na Ho Aur Paasbaan Koi Na Ho

Padiye Gar Beemar To Koi Na Ho Timaardaar
Aur Agar Mar Jaaiye To Nauhakhvaan Koi Na Ho

Rone Se Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye
Dhoe Gae Ham Aise Ki Bas Paak Ho Gaye

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalat-E-Maikashi
The Ye Hi Do Hisaab So Yon Paak Ho Gaye

Rusva-E-Dahar Go Hue Aavargi Se Tum
Baare Tabiyaton Ke To Chalaak Ho Gaye

Kahta Hai Kaun Nalaa-E-Bulbul Ko Beasar
Parde Main Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye

Hum Hi Hadaf, Hum Hi Bismil,



Hum Hi Hadaf,
Hum Hi Bismil,
Hum Hi Pe Taana Zanni. . . . .

Sitam b Tery,
Giley b Tery,
Yehi Sahi to Youn'hi Sahi. . . . .

Na Koi Ahad Nibhaye,



Na Koi Ahad Nibhaye,
Na Hum Nawaee Kary.....!
:
Osey Kaho K Tasalli Se Bewafai Kary.....!

Yeh Meri zaat Ki Sab Se Bari Tamanna Thi



"Yeh Meri zaat Ki Sab Se Bari Tamanna Thi..,

"ÄY-Yar"

"Kaash Ke Tum Mere Hote Mere Naam Ki Tarah..?

Mosam Ki Adaa Aaj Bhi Pur_Kaif Hai Lekin...




Mosam Ki Adaa Aaj Bhi Pur_Kaif Hai Lekin...


Ik Guzri Hui Barsaat ki, Hasrat Nahi Jati...

Her Kisi K Haath Mein Bik Jane Ko



Her Kisi K Haath Mein Bik Jane Ko Tayaar Nahi hun.

Yeh Mera Dil Hai Tere Shehar Ka Akhbaar Nahi..

Muje Likhne Ka Shoq Hota



Muje Likhne Ka Shoq Hota Mein Apna Khawab Likhta.
Tere Chehray Ko Chand Tere Honton Ko Gulaab Likhta.


Tere Pyar Mein Bhool Kr.
Sari Kaainat Ko.

Tere Zulfon Ki chaaon.
Mein Apna Anjam Likhta.

Haq Hota Takdeer Likhne.
Ka Muje Apni.

To Tere Sary Ghum Mein.
Le Kr Apni Sari Khushiyaan Terey Naam Likhta.



Agar
   "Baadshahat" Daita Is Jahan Ki Khuda Mujhay.
Tu Mein Ye Sara Jahan Tere Naam Likhta.

KAash äisa mumkin höta.
Aür mujhè Likhnè kä shoq hota,.
To main apni zindagi tery naam likhta,,

Boht hi YAAD aatey hO



"Boht hi YAAD aatey hO"
Zara milnay chaley aao
Muje kuch tum se kehna hai
Ziyada waqt nahi loon gi
Zara si baat karni hai
Naa dukh apney sunaney hain
Naa koi faryad karni hai
Naa ye maloom karna hai K Ab halaat kaisey hain
Tumharey humsafar they jo Tumharey sath kaisey hain
Na ye maloom karna hai Terey din raat kaisey hain
Mujhey bas itna kehna hai Muje tum YAAD aatay ho
"Boht hi yaad aatey

Bana k banjr ye dil ki basti ujaar jaty hain soch lena.



Bana k banjr ye dil ki basti ujaar jaty hain soch lena.
Mohabton me to aisy aisy selab aty hain soch lena.

Ye uljhi zulfen,ye lal ankhen,ye maily kpry,ye Zrd Chehra.
Hsaas Logon Ki Zindgi Me Ye Baab Aty Hain S0ch Lena.

Aadha Din To Sulagty Sehra Ki Jalti Raiton Py Chal Liya kr.
K hijraton Me To Is Se barh kr Azab atay Hain S0ch Lena.

Hijar ne Mere Tabah kia ha to chor do na ye pyar krna.
K Unki Janib Se is trah b Jwab Atay Hein Soch Lena.!

Agar Ham Zindagi Ka Raasta Hamwaar Kar Len Ge



Agar Ham Zindagi Ka Raasta Hamwaar Kar Len Ge,
Hamare Baad Kaafi Log Dariya Paar Kar Len Ge,

Kisi Ke Dard-e-Derina Se Apna Wasta Kya Hai,
Agar Voh Mil Gaya, Afsos Ka Izhaar Kar Len Ge,

Usey To Kya Shifa Hogi, Mujhe Kuch Aisa Lagta Hai,
Ye Chaarah'Saaz Apne Aap Ko Beemar Kar Len Ge,

Woh Kitni Dair Tak Rotha Rahe Ga ' Sagar Yaaron Se,
Gale Lag Jayen Ge, Aariz Milen Ge, Pyaar Kar Len Ge.

Tum Se Mumkin Ho Tu Phir Rok Do Saansain Meri.

Tum Se Mumkin Ho Tu Phir Rok Do Saansain Meri.

Dil Jo Dharkay Ga Tu Phir Yaad To Tum Aao Gay.

Tum ko barish pasand hai.

Tum ko barish pasand hai.
Mujhe barish me TUM,

Tum ko hasna pasand hai.
Mujhe hastey hue TUM,

Tum ko bolna pasand hai.
Mujhe boltey hue TUM,

Tum ko sab kuch pasand hai.
Or Mujhe bas TUM…

Muhabbat Rog Hay Jaana.

Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana.Baray Borhay Btatay Thy.
Kayi Qissay Sunatay Thy.
Magar Hum Mantay Kab Thy.
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy.
Yeh Baatein Zikr k Qabil Bhala Gardantay Kab Thy.
Ana k Takht Par Baithy Humein Maloom Hi Kab Tha.
Ana k Takht Se Ooper Bohat Sari Bulandi Par.
Kahin Pariyon k Jhurmat Me.
Tery Pairoon Ki Payel Me.
Tery Chotay Se Gaaon Mei.
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mei.
Sitaray Chaand Sooraj Walehana Raqs Kartay Hain.
Humein Maloom Hi Kab Tha.
Tery Qadmon Ki Aahat Par.
Gulabi Muskurahat Par.
Tery Hontoon Ki Jumbash Par.
Tery Sir k Isharay Par.
Sada-e-DilBrana Par. Nigah-e-Qatilana Par.
Jafa-e-Mehrmana Par.
Ada-e-Kafirana Par. Chaman k Phool Saray Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain.
Zara Se Wasl k Jhansey Mein Apni Jaan Detay Hain.
Humein Kab ILM Tha Jaana.
Tery Pekar Se Dhul kar Chandani Har Soo Bikharti Hay.
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi Kaisy Nikharti Hay.
Teri Payel Ki Chan Chan Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay.
Teri Awaz Veerany Mein Kya Jadu Jagati Hay.
Tery Naghmay Fiza Mein Kis Tarah Jal Tarang Bajaty Hain.
Bohat Pukhta Iraday Kis Tarah Se Toot Jatay Hain.
Humein Idraak Hi Kab Tha.
Humein Kamil Bharosa Tha. Hamary Sath Kisi Surat Bhi Aisa Nahi Ho Ga.
Dil-e-Nadaan Kabhi Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga.
Magar Phir Yun Huwa Jaana.
Na Janay Kiun Huwa Jaana.
Bara Afsoon Huwa Jaana.
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana.
Tery Abroo Ki Ik Jumbash Se Ghayel Ho Gaye Hum b.
Baray Be Multafit Phirtay Thy Maayel Ho Gaye Hum b.
Sakhawat Karnay Aye Thy Aur Saayel Ho Gaye Hum b.
Baray Borhoon Ki In Baaton k Qaayel Ho Gaye Hum b.
Muhabbat Rog Hay Jaana.
Ajab Sanjog Hay Jaana.
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana.