Wednesday, 16 October 2013

Urdu Poetry | Sent by ASMA BANU




suraj ke bina subah nahin hoti
chand ke bina raat nahi hoti 
badal ke bina barsath nahin hoti
aur aap ki yaad kiyeh bina
din kii shurwaad nahin hoti

---

hawao ke haath ek arman bheja hai 
roshni ke zariyeh ek paigam bheja hai
fursat miley to kabool kar lena 
is dost ne aap ke liyeh salam bheja hai

---

jaate jaate hum par ehsan to karte jaate
thoda zaher apne haathon se de jaate 
aakhri deedar to kar jate 
hamare janaz ko kaandha to de jaate

---

jab pyar ke ehsan ko samajh jaoge
har saans mein mera he naam paoge
mera piyar us waqt dega awaz

jab tum duniya ki bheed mein akela paoge

---

jis ki aarzu thi 
us ka he piyar na mila
barson jis ka intezar tha usi ka he saath na mila
ajeeb khel hia mohobbat ka

kisi ko hum na mile 
aur koi hume na mila
---
dosti wo nahin hoti jo jan deti hai
dosti wo nahin jo muskan det hai
asli dosti to wo hoti hai  jo samundar mein 
gira ek aansu pahechan leti hai

---

apne dill ki baat un se keh nahin sakte 
bina kahe bhi reh nahin sakte'   
aye khuda aisi taqdeer bana 
wo khud aa kar kahe ke hum aap ke
bina reh nahin sakte

---

meri dhadkan mein aap ka raaz rahega
meri bat ka yahi andaaz rahega
kabhi bewafayi nahin karte hum dosti mein 
meri dosti  pe aap ko hamesha naaz rahega

---

aankh aap ki roye to aansu hamare ho
saans aap ki chale to dhadkan hamari ho 
bas zindagi mein yahi dill ki tamanna hai 
ke aap ki yaad aaye to aap mere saamne ho

No comments:

Post a Comment