Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein
Itna Sunsaan Na Tha Pehlay Nagar Baarish Mein
Dhul Gaya Lamhon Mein Saalon Ka Parra Gard-o-Ghubaar
Ho Gaye Aur Bhee Sar-Sabz Shajar Baarish Mein
Tujh Ko Maloom Nahi Royi Howi Aankh Ka Gham
Kar Ke Dekho Tou Kisi Shaam Safar Baarish Mein
Kam Tou Pehlay Bhi Nahi Tha Magar Ay Bichray Howay
Barh Gaya Aur Tere Gham Ka Asar Baarish Mein
Har Taraf Ek Udaasi Si Utar Aati Hai
Kisi Zindaan Mein Dhal Jaata Hai Ghar Baarish Mein
Ay Alamnaak Ghatao Ose Jaa Kar Kehna
Takta Rehta Hai Koi Jaanib-e-Dar Baarish Mein
Is Qadar Rasmi Hai Wo Shakhs Ke Bas Holay Se
Pooch Leta Hai Janaab Aaj Kidher Baarish Mein
No comments:
Post a Comment