Bhooli larki mat us khwaab k pechey baago
pathar ban kar reh jao gi
teez boht hay waqt ka dariya
tum bhi us me beh jao gi
ye nishtar jaisi ruswai
bolo kaise seh pao gi
yu'n Bacho jaisi baato'n se
boolo tum sub ko behla sakti ho
kiya tum apne munn ki Munntak
Duniya ko samjha sakti ho
khwaabo'n jaisi baatai'n kar k
kiya tabeerai'n paa sakti ho
Baap ki shafqat , Maa'n ki tamanna
kiya such much tukra sakti ho
jis ghar me parwaan charhi tum
us ko chor k aa sakti ho
aysi baatai'n namumkin hay
bas tum apni tanhai me
Hijr k Geet hi ghaa sakti ho.
No comments:
Post a Comment